Chur chur dal ki kachori masaledar aloo ka jhol

Damini Shobhit Chaturvedi
Damini Shobhit Chaturvedi @cook_17769927
शेयर कीजिए

सामग्री

40-45 mins
8-10 सर्विंग
  1. 500 gm Maida
  2. 250 gram Moong ki dal
  3. 250 g Aloo
  4. 4 tbsprefined oil
  5. 2 tbspRed chilli powder
  6. 2 tbspDhaniya powder
  7. 2 tbspGaram Masala
  8. 2 tbspBesan
  9. 1 tbspSaunf
  10. 1 tbspAjwain
  11. 1 tbspjeera
  12. 1 tbsphaldi powder
  13. 10 gm Laung
  14. 10 gm Kaali Mirch
  15. 1 tbspheeng
  16. 500 gm Adrak
  17. 4-5Hari Mirch
  18. as neededBaarik kata dhaniya
  19. 2 tbspEno/Baking soda

कुकिंग निर्देश

40-45 mins
  1. 1

    Kachori banane ke liye, Maida mei 2 badi spoon oil, namak-ajwain,1 eno or dahi daal ke acche se gooth le or aata prepare kerle or usko 20-25 mins ke liye rest kerne ke liye kapde se dhak ke rakh de.

  2. 2

    Ab ek pan mei 1 spoon oil daal ke or usmei heeng daalke moong daal ko pan mei daal de, thoda roast hone ke baad bhuna hua besan, lal mirch powder, garam masala, dhaniya powder or bhuni hui sauf daal ke acche se mix kerle.

  3. 3

    Ab kachori ko sekne ke liye maida ke dough ki choti balls size le le or uski sides ko patla bel ke usmei daal ka mixture daal ke maida ki ball ko pack ker de or halke haath se usey press kerke kachori ko shape de de or 10-15 mins rest kerne ke loye rakh de. Ab ek pan mei kachori sekne ke liye oil daal le or ussey pehle 2 mins high flame pe garam kerle or phir flame ko low kerke usmei kachori ko dono side se acche se golden brown hone tak sek le or acche se sekne ke baad tissue paper pe nikal le

  4. 4

    Ab aaloo ke jhol ko bana ke liye adrak,hari mirch,laung,or kali mirch ko mixer mei peesle. Uske baad gas pe ek kadhai rakh ke usmei 3 tbsp oil daal ker garam kerle, uske baad usmei jeera or heeng add kare, iske baad ismei lal mirch, haldi, dhaniya powder or besan daal ke halka sa bhoon le.

  5. 5

    Mixture ko thoda bhoon lene ke baad usmei boiled aaloo ko mash kerke daal de or acche se chala le. Uske kadhaai mei mattar, or paani daal ke acche se high flame pe mix kerle. Ab ek katori mei thodi si heeng or thoda sa paani mix kerle or 10-15 mins ke baad aalloo ke jhol mei paani or heeng ke mixture ko add kerle or aaloo ke jhol ko 30-35 mins pakne ke liye chor de.

  6. 6

    Platting ke liye ek plate mei kachori nikal le or ek bowl mei aaloo ka jhol nikal le or dhaniye ki chutney ke saath platting kare or garnishing ke liye fresh mint leaves ka istmaal kare.

रेसिपी एडिट करें
रिपोर्ट
शेयर कीजिए

कुकस्नैपस

आपको यह रेसिपी कैसे लगी? कुकस्नेप भेजकर अपनी प्रतिक्रिया दें !

कैमरा का एक हैंडमेड कार्टून और तवे से उभरते हुए सितारों के साथ एक फ्राइंग पैन है
Cook Today
Damini Shobhit Chaturvedi
पर

कमैंट्स

Similar Recipes