Norveen Tauheed
Norveen Tauheed @Norveen1080
Aaloo ghost meri bachpan ki chahat . Ya hamaray bachpan mai dastarkhwan ka lazmi juzz tha . Haftay mai do baar banaya jata. Dophar ko shorba hota aur chawloon ka sath khaya jata. Raat ko isi ko bhoon ker dahi daal ker roti ka sath khaya jataWaqt badla halat badlay par aaloo ghost ki ahmiyat na kum huwi. Pakistan ka shayad hi koi aisa ghar ho jahan ya khaya na jata hoMeray ghar mai bhi ya haftay mai do baar tou banta hai. Ek dafa dophar ko safaid chawal ka sath. Ek dafa raat ko roti ka sathMai na Hadia hasan ki recipie follow ki hai aur mujhay ya bohot apni lagi kion ka mai bhi aisay hi banati hoonAakhir mai 14 august ka hawalay sai 2 bolJeeway jeeway jeeway Pakistan
Pakistan pakistan jeeway pakistan