Kela kachori
कुकिंग निर्देश
- 1
Sabse phle kacche kelo ko chhilke sahit pressure cook kr le.Thanda hone par chhilka hata ke mash kr le.
- 2
Pan me oil garam kare aur jeera saunf aur sabhit dhaniya heeng dale.
- 3
Ab hari mirch kele aur matar dale aur mix kare.
- 4
Ab sabhi masale daal kar mix kare aur 5 min tk pakaye.
- 5
Ab hara dhaniya dale aur gas band kar ke thanda hone de.
- 6
Maide me namak aur 1/4 oil dale aur pani se ata goonth le aur kuchh der dhak kr rakh de.
- 7
Ab ate ki hatheli pr poori banaye aur kele ke masle ki stuffing kare.
- 8
Kinaron par pani laga kr ghumate hue seal kr de.
- 9
Aap chahe to ise gujhiya maker se bhi bana skte hain.
- 10
Isi tarah se sabhi kachori bana le.
- 11
Talne ke liye kadhai me tel garam kare.
- 12
Sabhi kachori ko madhyam aanch par dono taraf se crispy brown hone tak tale.
- 13
Ab ise hari chatni ya tomato ketchup ke sath garma garm serve kare.
क्या आपने यह रेसिपी बनाई? कुकस्नैप शेयर करें!
Monika Sharma को बताएं कि रेसिपी कैसी बनी।
शुक्रिया कहने का सबसे अच्छा तरीका है एक फ़ोटो!
किसी ने आपकी रेसिपी बनाई और कुकस्नैप शेयर किया!

कीवर्ड
समान रेसिपी
और रेसिपीज़




कमैंट्स