Qeema bhuray karaily

#myculturalrecipe
Yea cultural recipe isleay hay ke log normally qeema paka kar daltay hain. Mairi ammi aur phir mairi saas dono kucha qeema dalti thi, jis say karailay main kabab ka taste aata hay.
Dusri baat karailon ko dhona aur mulna bht mushkil hota hay, me karailon ko cheel kar kat kar freez kar daiti hun, jub use krnay hon tub nikalay, defreez keay to karailay mulnay aur hath thukanay ki zrurat nahi rahti, karailay aaram say soft ho jatay hain.
Teesra me karailay dum pay rukhtay waqt pani nahi dalti bulkay dudh dalti hun, jis say karailay achay puktay hain.

Steps
- 1
Qeemay main filling ingredients add kar dain.
- 2
Achi tra mix kar lain.
- 3
Karailay cheel kar kaat kar dho lain. Chilkay alug say dho lain. Achi tra pani nichor lain.
- 4
Karailon main qeema bhur lain aur har karailay ko 2 tooth picks say bund kar dain. Dhaga bhi use kar suktay hain, mugar dhaga khatay waqt kholna bht mushkil hota hay.
- 5
Karailay hamesh taiz garam oil main fry krain. Fry kar kay nikal lain.
- 6
Chilkay bhi usi oil main fry kar lain.
- 7
Ab masalay kay leay usi oil ko chaan lain aur piyaz light brown kar lain.
- 8
Ab light brown piyaz main salan kay ingredients daal dain. Achi tra bhoon lain. Agar thora qeema buch gea ho to bhi daal dain.
- 9
1 cup pani daal kar masala tiyar kar lain.
- 10
Ab is masalay main karailay dal dain aur chilkay bhi add kar lain.
- 11
1 cup dudh daal kar medium aag par 20 minutes puknay dain.
- 12
Khatay waqt tooth pick nikal dain, qeema aik kabab ki shakal main hay aur karaila kurwa bhi nahi hay.
Similar Recipes
More Recipes
-

Bethica Das
-

Heena Jani
-

Green Moong / Whole Moong Dal Tadka
Bethica Das
-

chef Nidhi Bole
-

Rita Talukdar Adak
-

Easy Homemade Dog Cake (Crazyforcrust.com)
Cluelesskitty
-

Healthy Yellow Moong Dal Soup😋
Anoli Vinchhi
-

Tips How to Preserve Banana at Home
Krishna Biswas
-

Sanuber Ashrafi
-

Baked Parmesan Chicken Tenders
Amazing Grace’s (aka TeenChef)
-

Brownie peanut butter cookies 😊
tanveer sayed
-

Stir-Fry Beef with Broccoli in Oyster Sauce
homebasedchef
-

Gracious Kitchen
-

Lauren
-

Rosann -

fatima mahmud isa -

Areeba Masroor
-

Ankita Basu Saha
-

Instant Pot "New World" Chicken Paprikash
Goatermeister
-

Afshan Tabassum
-

Bhavana Bhakhri
-

Cindy C.R.
-

Baked Parmesan Chicken Tenders
Amazing Grace’s (aka TeenChef)

Comments