Chicken Tikka Biryani

Afshan Tabassum
Afshan Tabassum @cook_18391269

#happybirthdaycookpad
Dawaton ki shan biryani
Hum sub ki jan biryani
Roz bhi mil jaye biryani
Sub shoq sy khain biryani
Sunday ho aur na ho biryani
Sub ne hi kehna hai biryani biryani biryani 😋
Tu hazir hai janab meri behad delicious chicken tikka biryani 😊

Chicken Tikka Biryani

#happybirthdaycookpad
Dawaton ki shan biryani
Hum sub ki jan biryani
Roz bhi mil jaye biryani
Sub shoq sy khain biryani
Sunday ho aur na ho biryani
Sub ne hi kehna hai biryani biryani biryani 😋
Tu hazir hai janab meri behad delicious chicken tikka biryani 😊

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

8 servings
  1. For tikka masala 👇
  2. 1 1/2 kgchicken (tikka cut)
  3. 1/2 cupyogurt
  4. 2 tbspginger garlic paste
  5. 8 tbspvinegar
  6. 1 tbspsalt
  7. 2 tbspred chilli powder
  8. 1 tbspcoriander powder
  9. 1 tspTarmiric powder
  10. 1 tspgaram masala powder
  11. 1 tbspzera powder
  12. 1 tspChinese salt
  13. 1 tspzarde ka rang
  14. For rice 👇
  15. 1 kgsela rice
  16. to tasteSalt
  17. 1 tsproh e kewara
  18. 1 tspbiryani essence
  19. Other ingredients for biryani 👇
  20. 3brown onion
  21. 2 tbspginger garlic paste
  22. 3tomato
  23. 1/2 cupyogurt
  24. 1/2 tspsalt
  25. 2 tbspred chilli powder
  26. 1 tbspcoriander powder
  27. 1 tspTarmiric powder
  28. 1 tspgaram masala powder
  29. 1 tspzera powder
  30. 1 tspjaye fal jawetri powder
  31. 10green chilies
  32. 1 bunchcoriander leaves
  33. 1 bunchpodena
  34. 1 cupoil

Cooking Instructions

  1. 1

    Sub sy pehle sela rice ko 3 hour ke liye bhigo dein

  2. 2

    Aub chicken main 1/2 cup dahi, 2 tbsp ginger garlic paste, 2 tbsp red chilli powder, 1 tbsp coriander powder, 1 tsp Tarmiric powder, 1 tsp salt, 1 tsp garam masal, 1 tbsp zera powder, 1 tsp Chinese salt, zarde ka rang dal kar 4 hour ke liye fridge main rakh dein

  3. 3

    4 hour ke baad 6 tbsp oil garam krein aur masala lagi chicken add kar dein aur slow flame par cover kar ke chicken galne tak pakain

  4. 4

    Jab chicken gal jaye oil alag ho jaye tu flem off kar dein aur koilay ka dhowan de kar side kar dein

  5. 5

    Aub ek bare patelay main chawal boil krne ke liye pani add krein jab pani main khub boil a jaye tu bhigay hoe chawal add krein, hasbay ziaqa namak dalein, 1 tbsp oil dalein, biryani essence add krein aur 90% tak chawal boil kar lein aur ek chalni main nekal kar side kar dein

  6. 6

    Aub 1/2 cup oil garam krein aur ginger garlic paste add kar ke 2 min bhon lein phir 3 tomato add kar ke gala lein

  7. 7

    Jab Tamatar gal jain tu 2 tbsp red chilli powder, 1 tbsp coriander powder, 1 tsp Tarmiric powder, 1 tsp garam masala powder, 1/2 tsp salt, 1 tsp zera powder,1 tsp jayefal jawetri powder add kar ke mix krein

  8. 8

    Phir 1/2 cup dahi dal kar ache sy bhon lein sath hi brown onion bhi add kar dein halka sa pani dal kar masala 2 min ke liye pakain

  9. 9

    2 min baad masala lagi chicken add kar dein aur ache sy mix kar dein

  10. 10

    Aub hara dhanya, hari mirch, podena add krein mix krein aur flem off kar dein

  11. 11

    Aub ek khole moh ka bara patela lein aub patele main neche thora oil lagain aur half rice becha dein phir ready chicken ki teh lagain phir half raice dalein 6 tbsp oil dalein phela kar sub Tara 1/2 cup pani ka chenta dein zarde ka rang dalein aur cover kar dein

  12. 12

    Biryani cover kar ke 20 min ke liye dam par rakhein pehle 10 min medium heat rakhein phir flem slow kar ke mazeed 10 min dam laga dein yami biryani ready hai

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Afshan Tabassum
Afshan Tabassum @cook_18391269
on

Similar Recipes