Kadhi Pakora With White Rice Recipe 😋

Ambreen Mehmood
Ambreen Mehmood @cook_29328207

#dosti
#mentorship
Mere kadhi pakora ki recipe bohat he mazedar hai ap sab b zaror yah recipe try karain ap sab ko bohat pasand aye gi mere ghar main tu MashaAllah bohat shok say khae jati hai roti Ke saath or white rice Ke saath b aj white rice Ke saath bana rahi hon

Kadhi Pakora With White Rice Recipe 😋

#dosti
#mentorship
Mere kadhi pakora ki recipe bohat he mazedar hai ap sab b zaror yah recipe try karain ap sab ko bohat pasand aye gi mere ghar main tu MashaAllah bohat shok say khae jati hai roti Ke saath or white rice Ke saath b aj white rice Ke saath bana rahi hon

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

2 hr
6 people
  1. Kadhi Ke liye
  2. 1/2 cupBesan
  3. 1/2 kgKhati fresh dahi
  4. 1/2 tspLehsan chopped
  5. 1/2 tspAdrak chopped
  6. 4Fresh green chilli chopped
  7. 1/2 tspChilli flakes
  8. 1 tspWhite zeera
  9. Salt to taste
  10. 1 tbspRed chilli
  11. 1 1/2 tbspHaldi
  12. 1/2 cupCooking oil
  13. 6-8Curry patta / curry leaves 🍃
  14. Pakoray Ke liye
  15. 2 1/2 CupBesan
  16. 1 1/2 cupFresh dhaniya
  17. 1/2 tspBaking powder
  18. 2medium Onion
  19. sliceAdrak
  20. 5Fresh green chilli
  21. 1/2 tspAdrak, lehsan paste
  22. 1/2 cupFresh meethi
  23. Salt to taste
  24. 1 tbspRed chilli
  25. 1/2 tspChilli flakes
  26. 1 tbspBlack pepper
  27. 1/2 tspGaram masala
  28. 1/2 tspSabut dhaniya
  29. 1/2 tspSabut white zeera

Cooking Instructions

2 hr
  1. 1

    Aik Karahi main cooking oil garam karain agar dahi khati na ho tu is main 1 tsp Rai dana dal lain phir lehsan paste, adrak or green chilli chopped dal kar bhunain light sa color aye tu curry patta dal dain or saath main white zeera b add kar dain

  2. 2

    Ab is main 1/2 glass pani dal dain Ke masala jal na jaye ab is main salt to taste, red chilli, haldi or chilli flakes dal kar ache say bhune lain Ke oil nikal aye chilli apni marzi say kam zayada kar sakte hain

  3. 3

    Masal ache say bhune jaye tu is main pani dal dain ab blender main dahi or besan ko ache say blend kar lain dahi khati ho tu is kadhi ka maza aya hai or masale main shamil kar dain ab is main or pani dal kar jab tak kadhi boil na ho jaye chamach chalte rahain jab boil a jaye tu or pani dal kar medium flam par rakh dain pak ne Ke liye

  4. 4

    Ab aik bowl main besan lain is main pani dal kar mix kar lain ab is main lehsan, adrak or chilli paste dal dain or saath main fresh dhaniya onion slice, adrak slice or fresh green chilli, fresh Meethi, salt, red chilli, chilli flakes, white zeera, dhaniya, black pepper, Garam masala

  5. 5

    In sab ko ache say mix kar lain Agra zarorat ho tu thora pani shamil kar lain ab aik pan main cooking oil lain or garam karain ab medium heat par Saray pakoray fry kar lain pakoray fry kar Ke kadhi main shamil kar dain or low heat par 5 minute pakne dain ab aik fry pan main cooking oil garam karain is main white zeera green chilli or adrak dal kar kadhi par tarka laga dain agar pasand ho tu Chaat masala b dal lain is say taste bohat acha hota hai

  6. 6

    Mazedar kadhi pakora tayar hai enjoy karain white rice Ke saath recipe achi lage tu apna feed back zaror dain shukriya

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Ambreen Mehmood
Ambreen Mehmood @cook_29328207
on

Similar Recipes