Beef Pulao

Afshan Shahnawaz
Afshan Shahnawaz @afshan66

#joy
Pulao mein pani ka buht khyal rakhna hota hy.1/2 kg rice mein 3-4 glass yakhni zaror honi chahy tu taste atta hy.salt ko zaror taste krna chahye taky kum ya ziada na ho

Beef Pulao

#joy
Pulao mein pani ka buht khyal rakhna hota hy.1/2 kg rice mein 3-4 glass yakhni zaror honi chahy tu taste atta hy.salt ko zaror taste krna chahye taky kum ya ziada na ho

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

90 min
2-4 servings
  1. Yakhni
  2. 1/2 kgbeef
  3. 1/2 kgrice
  4. 1pothi Lahsan
  5. 1 pieceadrak
  6. 1piyaz
  7. 1 tspsalt
  8. 8-10kalimirch
  9. 4-5long
  10. 2bari illachi
  11. 1darchinni stick
  12. Masala
  13. 3/4 cupoil
  14. 1/2 cupdahi
  15. 3-4choti illachi
  16. 1 tspsalt
  17. 3-4aloo(hisbe zaiqa)
  18. 5-6hari mirchain

Cooking Instructions

90 min
  1. 1

    Beef lahsun adrak piyaz sabit garam masala aik sath 5 glass pani ky sath galla lain.

  2. 2

    Oil garam kr ky choti illachi ka bhagar krain.dahi chop hari mirchain aur aloo ky pieces add krdain 1 cup pani ky sath galla lain.yakhni ka gosht shamil krdain aur bhoon lain.salt bhi add krdain.

  3. 3

    Rice ko apny hissab sy bhigo ky rakhain.oil mein add krdain.yakhni bhi add krdain.zarorat ho tu mazeed pani add krain.salt taste krlain.

  4. 4

    Pani dry hony lagy tu dam py rakhain.pehly zara tez anch py phir madhum krdain. Mazedar pulao tayar hy.lahsn mirch kj chutney aur raity ky sath nosh farmain

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Afshan Shahnawaz
on

Comments (5)

Samia Aijazz
Samia Aijazz @SamiaAijaz
Looks so good. Can u help ma apkay 3rd step may rice direct oil may add karnay hain . Plz guide

Similar Recipes