Katori chat

Khalida Misbah
Khalida Misbah @cook_20691398
Karachi

#mentorship #paknig ramazan me kuch na kuch special karna hai to aaj ye try ki chat to aap apni marzi ka banain bas katori me bana kar khoobsoorti me izafa karain

Katori chat

#mentorship #paknig ramazan me kuch na kuch special karna hai to aaj ye try ki chat to aap apni marzi ka banain bas katori me bana kar khoobsoorti me izafa karain

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

30to 35 minutes
6 to 7 persons
  1. 2 cupmaida
  2. 2 tbspoon ghee
  3. 1te spoon ajwain
  4. 1te spoon salt
  5. Warm water
  6. Boil chanay
  7. Boil aloo
  8. Imli ki chutney
  9. Green chutney
  10. Dahi
  11. Piyaz
  12. Timater
  13. Kheera
  14. Chat masala
  15. Hara dhania
  16. Hari mirch
  17. Seve

Cooking Instructions

30to 35 minutes
  1. 1

    Aik bowl me maida,salt and ajwain mix kar lain ab is me ghee daal kar hathon se masal masal kar mix karain

  2. 2

    Ab is ko warm water se aik achi si dough tayyar kar lain

  3. 3

    Ab is me 2tbsp ghee aur daal kar achi tara mix kar ke is ki choti choti balls bana lain

  4. 4

    Ab is ki choti roti bail kar is ke upper piyali rakh kar dough is ke upper chadha lain jaise pic me hai

  5. 5

    Ab is ke upper foark se suraakh kar lain aur kadahi me oil garam kar ke fry kar lain

  6. 6

    Ab sari katoriyan esi tarah fry kar lain ab katori me boil aloo, boil chanay,imli ki chani dalain

  7. 7

    Ab piyaz,timate,kheera,dahi,green chutney, chat masala,seve and hara dhani daal kar chat pati katori tayyar kar lain

  8. 8

    Ab iftar me family ke saath enjoy karain

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Khalida Misbah
Khalida Misbah @cook_20691398
on
Karachi
love cooking
Read more

Similar Recipes