Aloo Akni

Uft
Uft @uft_1996
Haripur, Pakistan 🇵🇰

Jab bhook zoron py ho aur khayal b chawal khanay ka aajaye to pehla khayal dil mein aloo akni ka he ata ha. Itny mzay ki dish bnti ha dil krta ha khatay he raho aur sath mein raita aur achar ho as a condiment to phr wah kya kehnay😍😍
#ambassador

Aloo Akni

Jab bhook zoron py ho aur khayal b chawal khanay ka aajaye to pehla khayal dil mein aloo akni ka he ata ha. Itny mzay ki dish bnti ha dil krta ha khatay he raho aur sath mein raita aur achar ho as a condiment to phr wah kya kehnay😍😍
#ambassador

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

15 mint
1 serving
  1. 1 cupRice
  2. 2 cupsWater
  3. 1Potato (small pieces)
  4. 1onion (sliced)
  5. 1-2Green Chillies
  6. Salt To Taste
  7. 1/2 tbspRed Chillies
  8. 1 tbspGaram Masala (Bari Elaichi,laung,daarcheeni)
  9. 1/4 cupOil

Cooking Instructions

15 mint
  1. 1

    Chawalon ko achi tarah dho k pani mein bigoh k rakh dain.

  2. 2

    Piyaz ko slice kar lain aur green chilli ko drmean mein sy cut kar lain aur aloo k pieces kar lain.

  3. 3

    Ab cooker mein oil garam karein aur green chilli aur piyaz add kar dain aur brown honay tak pkayen.

  4. 4

    Ab is mein namak, mirchen aur garam masala add kar k mix karein.

  5. 5

    Aur sath he aloo daal kar unhen msala mein bhoon lain.

  6. 6

    Ab is mein paani add karein aur ksi dakan sy cover kar lain jab tak paani boil na ho jaye.

  7. 7

    Ab is mein chawal paani sy nikal kar add kar dain.

  8. 8

    Cooker ko dakhan sy cover kar k ooper weight rkhen aur 5-7 mints k liye medium to high flame py pkayen.

  9. 9

    Yummy Aloo Akni tyar hai.Ap isay raita, achar aur salad k sath serve kar sktay hain.

Linked Recipes

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Uft
Uft @uft_1996
on
Haripur, Pakistan 🇵🇰
Love to Cook and try new and amazing recipies ❤
Read more

Similar Recipes