Papdi Chaat

Alina Kaif
Alina Kaif @cook_12731389

#defenceday

PAKISTAN ZINDABAD
PAKISTAN PAINDA Baad
🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰💚💚💚💚💚💚💚💚💚

****Kis ki himmat hai humari parwaz main laye kami
Hum parwazon se nahi hoslon se uda kerte hain*****

Tamam forces ko hum dil se khiraaj e tahseen paish kerte hain, jin ki wajah se aj hum sukoon ki sanse lete hain apme watan Pakistan main.
🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰💚💚💚💚💚💚💚💚💚

Papdi Chaat

#defenceday

PAKISTAN ZINDABAD
PAKISTAN PAINDA Baad
🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰💚💚💚💚💚💚💚💚💚

****Kis ki himmat hai humari parwaz main laye kami
Hum parwazon se nahi hoslon se uda kerte hain*****

Tamam forces ko hum dil se khiraaj e tahseen paish kerte hain, jin ki wajah se aj hum sukoon ki sanse lete hain apme watan Pakistan main.
🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰🇵🇰💚💚💚💚💚💚💚💚💚

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. papdi
  2. Hari chutni
  3. Meethi chutni
  4. Boil chholay
  5. Boil aalo
  6. Baray
  7. Dahi bara masala
  8. Sliceonions
  9. slicetomatoes
  10. Hara dhaniya
  11. Hari Mirchen

Cooking Instructions

  1. 1

    PAPDI:

    dough:
    2 maida
    Half teaspoon ajwaien
    Half teaspoon zeera
    1 teaspoon salt
    Butter 2 tablespoons bhar kar (jama Hua) ya Ap ghee bhi le sakti hain but ghee ko fridge main rakh kar bilkul thanda kar lain ke wo jamne lage.
    Sab cheezen maide main daal kar hath se achi terha mix Karen, butter ko maide main is terha mix Karen butter bilkul nazar na eye (yeh most important step Hai)
    Ab pani ki madad se Ata gondh lain, aata sakhat gondhna Hai aur thande pani se gondhna Hai. Half hour rest aaty ko)

  2. 2

    Frying :

    Roti ki jitni thickness pe dough ko bail lain aur kisi bhi round cutter se round shapes main cut kerke fork ki. Madad se soorakh Karen aur halke gram oil main halki anch pe fry Karen.
    Anch taiz na ho werna papdi crisp nahi hogi. Last main bas 1 se 2 min ke liye taiz anch pe fry Karen aur paper towel pe nikal kar thanda kerke zip loc bag main store Karen.

  3. 3

    Imli ki MEETHI chutni:
    Ingredients :
    Imli 100 gram (make pulp)
    Gudd 100 gram
    Khajoor 4 se 5 (remove the seed)
    Kala namak 1/2 teaspoon
    Laal mirch powder 1/2 teaspoon
    Ginger 1/2 inch piece
    Method:
    Sab cheezon ko ek pan main daal kar ek cup pani daalen, aur halki anch pe paka lain. Jab required thickness hasil ho jye gas pe se utar se thanda kar lain. Ginger nikal kar phaink dain aur ager Khajoor ka koi piece sabit reh gya hai tu usko bhi nikal dain.
    Bottle main daal kar fridge main rakhain.

  4. 4

    HARI CHUTNI:

    Ingredients:
    Hara dhaniya 2 cups
    Podina 10 to 15 leaves
    Hari mirchen 3 se 4
    Lemon juice 2 tablespoons
    Salt to taste
    Method:
    Sab cheezon ko grind kar lain bilkul fine. Chutni tayar hai.

  5. 5

    Special masala:
    1 tablespoon zeera
    1 tablespoon sookha dhaniya
    8 se 10 sabit laal mirchen
    1 teaspoon sabit kali mirchen
    In Charon cheezon ko bhoon lain halka sa aur thanda kerke powder Bana lain.
    Ab is masale main ek 1 tablespoon chat masala aur 1 teaspoon namak shamil kerke mix kar dain.

  6. 6

    Chholay aur Aalo preparation:

    1.Chholay simple namak daal kar boil Kar lain.
    2. potatoes peel kerke pani main thoda namak aur orange food colour daal kar boil Kar lain aur cubes main cut kar lain.
    3.chholay aur Aalo main 1 teaspoon salt, 1 tablespoon special masala daalen aur achi terhan mix Kar lain.

  7. 7

    BESAN KE BARAY:

    Ingredients:
    Besan 1 cup
    Soda 1 pinch
    Red chilli powder 1/2 teaspoon
    Salt to taste
    Method :
    Sab cheezon ko mix kerke medium thick batter Bana kar half hour kar liye rakh dain.
    Frying pan main big size ke baray fry Karen aur 5 min thanda kerke pani main 15 se 20 min dip kar dain.

    DAHI:
    Dahi main thoda sa namak aur cheeni daal kar achi terhan paint kar rakh lain.

  8. 8

    FINAL ASSEMBLING:

    1.sabse pahle dish main baray rakhain.

    2.ab is pe dahi pour Karen thoda.

    3. Chholay Aalo ka mixture add Karen.

    4.again thoda dahi daalen aur khhati aur meethi dono chutniyan daalen apni pasand ke mutabiq.

    5.ab pyaz, timater, hara dhaniya daalen. (timater aur pyaz bohut hi thinly sliced hone chahiye)

    6.again thoda special masala sprinkle Karen aur aur papdi crush kerke daal dain.

    Mazedaar chaat ready hai.

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Alina Kaif
Alina Kaif @cook_12731389
on

Comments

Similar Recipes