Nargis koftey

Shabbir Dalal
Shabbir Dalal @cook_18834167
Karachi,Pakistan

First time try kya aur bht mze ke ban gaye dar rahi thi ke toot na jaye but nahi toote cut bhi kya hai aur aik sabit bhi rakha hai bnana to tha kyun ke task complete karna tha to socha cookpad par ye recipe share nahi ki hai Alhumdulilllah amazing Nargis kofte done 👍
#Andaaykafundaa

Nargis koftey

First time try kya aur bht mze ke ban gaye dar rahi thi ke toot na jaye but nahi toote cut bhi kya hai aur aik sabit bhi rakha hai bnana to tha kyun ke task complete karna tha to socha cookpad par ye recipe share nahi ki hai Alhumdulilllah amazing Nargis kofte done 👍
#Andaaykafundaa

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

1 hour
6 person
  1. 1/2 kgqeema
  2. 1tblspoon lehsan adrak ka paste
  3. 1/2 cupbesan
  4. 1small onion cut
  5. 1green chilli cut
  6. 1/2 cuphara dhanya
  7. 1tblspoon lal mirch
  8. 1 teaspoonsalt
  9. 1 teaspoongaram masala
  10. 1tblspoon lal mirch powder
  11. 1 teaspoonkhaskhas saf kar ke dho kar lain
  12. Gravy ke lye
  13. 1 cupoil
  14. 6dane mathi dane ke
  15. 6,7curry leaves
  16. 2 cup tomato puri
  17. 1 cupdahi
  18. 1 cupbrown onion
  19. 1/2 cuphara dhanya
  20. 1tblspoon lehsan adrak ka paste
  21. 1 teaspoonhaldi powder
  22. 1tblspoon lal mirch powder
  23. 2tblspoon dhanya powder
  24. 1 teaspoonsalt

Cooking Instructions

1 hour
  1. 1

    Sub se pehle qeema lain is mein lehsan adrak ka paste dalen

  2. 2

    Phir khaskhas, onion,hara dhanya,green chilli dalen

  3. 3

    Besan, salt,aur garam masala powder dalen

  4. 4

    Phir lal mirch dalen,aur chopper mein sub cheezen dal kar pees lain

  5. 5

    Phir aik plate main nikal lain eggs boil kar lain aur center se cut kar lain phir aik plastic bag le kar is ke ooper ye pisa masala rakhen aur center main anda rakhen

  6. 6

    Aur shopper ko charo taraf se pakar kar kabab ka shape bana lain aur phir plate main rakhe aur 10 minutes fridge mein rakh dain ta ke sate ho jaye

  7. 7

    Aur karahi mein oil dalen garam ho jaye to is mein aik aik kar ke nargis kofta dalen

  8. 8

    Aur dono side golden fry karen aur nikal lain

  9. 9

    Phir aik patili mein oil dalen fry wala hi 1 cup phir is mein methi dana,curry patte dalen

  10. 10

    Phir tomatoes puri dalen, lehsan adrak ka paste,lal mirch,salt,haldi, dhanya powder dalen aur masala bhoone

  11. 11

    Phir dahi main brown onion aur hara dhanya dal kar pees lain jab tomato wala paste bhoon jaye to is mein dahi wala paste dale

  12. 12

    Aur achi tarah paka lain jitna shorba rakhna hai atna pani dalen aur achi gravy bana lain oil ooper a jaye to kofte fry kye hue ko cut kar ke gravy mein dalen.

  13. 13

    Phir 10 minutes paka lain chamcha nahi chalana patili ko kapre se pakr kar ghoomaye ta ke kofte na toote phir disout karen yummy Nargis kofte ready❤️👌❤️

Edit recipe
See report
Share

Cooksnaps

Did you make this recipe? Share a picture of your creation!

Grey hand-drawn cartoon of a camera and a frying pan with stars rising from the pan
Cook Today
Shabbir Dalal
Shabbir Dalal @cook_18834167
on
Karachi,Pakistan
🥣🌮🌭🍔🍖♥️
Read more

Comments

Similar Recipes