Chicken Steam Roast

Chef_From_Uae.
Chef_From_Uae. @BornToCookGoodFood
Uae. Dubai

Asslam o alykum
Aj aik barry mazydar c recipe share kar rae hun jo aksar shadion me nazar ati hy. Jeee jeeee blkul shadio wala Roast bhi keh skty hyn isy 😂. Easy simple aur mazydar.
Sary ghar k desi masaly use hoty hyn is me aur zaiqa bht umdah.
Zaror try karyn air feedback dein k batyn k kesa bana apka shadio wala roast 😄❤️❤️

Chicken Steam Roast

Asslam o alykum
Aj aik barry mazydar c recipe share kar rae hun jo aksar shadion me nazar ati hy. Jeee jeeee blkul shadio wala Roast bhi keh skty hyn isy 😂. Easy simple aur mazydar.
Sary ghar k desi masaly use hoty hyn is me aur zaiqa bht umdah.
Zaror try karyn air feedback dein k batyn k kesa bana apka shadio wala roast 😄❤️❤️

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. Step 1 Chicken Soaking
  2. 8 piecesChicken (Tikka Cut)
  3. 1 cupwater
  4. 1whole Garlic
  5. 3-4 tablespoonswhite vinegar
  6. 2 tablespoonssalt
  7. Step 2 Chicken Frying
  8. Oil for deep frying
  9. Step 3 Chicken Coating
  10. 1/2 kgcurd
  11. 3 tablespoonscrushed red chili
  12. 1-1/2red chilli powder
  13. 1 tablespoongaram masala
  14. 1/2 tablespooncumin powder
  15. 1/2 tablespooncoriander powder
  16. 1 teaspoonturmeric powder
  17. 3-4 tablespoonsgaram masala
  18. 5-6 tablespoonslemon juice
  19. 1/2 teaspoonyellow food colour
  20. Salt as per taste
  21. Step 3 Chicken Steam
  22. Water as required
  23. 1-1/2 tablespoonswhole gram masala
  24. Step 4 Serving
  25. 1-2 tablespoonsSesame seeds
  26. Khubbus
  27. Hummus
  28. Chat masala

Cooking Instructions

  1. 1

    Sab se pehly chicken k pieces ko clean karlyn us k bad wash kar k cuts lagalyn jesy tikka pieces me lgaty hyn. 2 cuts tights par aur 2 cuts leg piece par. Cuts thory gehry lgayn gy.

  2. 2

    Ab in pieces ko dusri side bhi cut lgana hy lekinwahan aik hi cut lgy ga eo b joint par jesa k pic me mention hai.

  3. 3

    Lehsan ko chilko k sath ki achi trhan kot lyn aur pani me mix karlyn achi trhan se. sara arq nikal jay

  4. 4

    Phr chicken ko aik bary bowl me ya thali me dal k lehsan wala pani kisi bhi stainer se chan k dal dyn. Vinegar add karyn.

  5. 5

    Vinegar & salt dal k mix karun aur 20 minutes k lie bhiga k chor dyn. Jis me chicken hy wo pot thora bara hona chahye ta k chicken sahe se bhig jay.

  6. 6

    After 20 minutes chicken ka pani phnk dyn. Chicken colour me thori white ho chuki hogi. Iska pani phrnk kar strainer me rakh dyn ta k excess pani b nikal jay.

  7. 7

    Ab chicken ko deep frying kryn gy. Pehly frying karyn gy pht coating karyn gy. Fry karny k lie oil ko medium flame par gram karyn gy aur chicken pieces ko light golden fry karlyn gy.

  8. 8

    Dahi ko achi trhan phrnt lyn jo dahi me dana hota hy wo blkul khtm karna hy. Creamy texture kar k us me sary ingredients dal dyn aur mix karlyn

  9. 9

    Ab fried chicken ko dahi waly batter me achi trhan se dip kar k coat karyn. Fry karny k bad coat karny ka aik faida yh bhi k chicken ka sara pani nikal chuka hota hy to coating us lar aram se set hojati hy behti nhn hai.

  10. 10

    Pot me pani ko boil hony rakh dyn. Jab boil ajaye to us me gram masala dal k foran Steamer rakh k foil paper set karyn agar foil paper nhn b to paper bhi rakh skty hyn.

  11. 11

    Coat kia hua chicken rkhyn us par thory se til sprinkle karyn aur dhak dyn. 6-7 minutes k lie.

  12. 12

    Jab coating dry hojaye to nikal lein aur baki ki chicken bhi isi trhan steam karlyn. Phr last me fries k sath serve karyn.

  13. 13

    Serve karty huye b agar sesame seeds sprinkle karna chahye to kar dyn. Lemon aur fries k sath srve karyn. Dath cahappati ya khubbus aur hummus bhi serve kardyn.

  14. 14

    Meny humus khubbus aur garlic chutney k sath seve kia tha.
    Bht nht moist aur mazydar roast bana tha ❤️
    Ap bhi zaror try karyn 👌🏻

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Chef_From_Uae.
Chef_From_Uae. @BornToCookGoodFood
on
Uae. Dubai
Follow me on instagramhttps://instagram.com/cheffrom_uae?igshid=s0pw7jdr59noSubscribe my youtube channelCheffrom uae
Read more

Similar Recipes