Allu Karahi

Abiha Naqvi Naqvi
Abiha Naqvi Naqvi @Abi125

#Sabzi

Ye dish meri chachu ki shadi mein humari mad ne banai thi gher mein sub ko itne pasand aae ke bs tab say mera jab bi dil karta hai mein ye dish banati hon bht mazay ki banti hai ek bar zarur try kijiye 🥰🥰😋😋

Allu Karahi

#Sabzi

Ye dish meri chachu ki shadi mein humari mad ne banai thi gher mein sub ko itne pasand aae ke bs tab say mera jab bi dil karta hai mein ye dish banati hon bht mazay ki banti hai ek bar zarur try kijiye 🥰🥰😋😋

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

20 -25 minute
4 servings
  1. 1/2 kgAllu
  2. 1pao timatar
  3. 1,1/2 tspn dry methi
  4. 1tblspn kuti lal mirch
  5. 1tspn dhaniya powdr
  6. 1/4tspn haldi
  7. 1/4tspn lal mirch powdr
  8. 1/4tspn sabit zeera
  9. 1/4tspn gram masala
  10. 1/4tspn kali mirch powdr
  11. 6,7curry pata
  12. 6hari mirch
  13. 3 tbspnhara dhaniya
  14. Oil hasb e zarurat
  15. Namak hasb e zaiqa

Cooking Instructions

20 -25 minute
  1. 1

    Allu or timatar ko cube cut mein kat lein ab allu wash kar lein us ke baad allu mein pani dalen or 1 tblspn namak dal ke 5 minute rest dein ab karhai mein oil gram karen

  2. 2

    Ab oil mein allu shamil kar dein or 10 minute ke liye dhak ke halki anch py fry karen bich bich mein spoon chalaty rahen

  3. 3

    Ab 1/4 tspn haldi, 1tspn dhanya powdr or 1 tblson kuti lal mirch lein

  4. 4

    1/4 tspn lal mirch powdr, 1/4 tspn kali mirch powdr, 1/4 tspn gram masala powdr

  5. 5

    Namak hasb e zaiqa 1,1/2 tspn dry meethi,1/4 tspn sabit zeera

  6. 6

    Curry pata, ab allu humay fry ho gaye hain golden colour a chuka hai ab esy nikal ke ek bowl mein nikal lein gy

  7. 7

    Ab 5,6 tblspn oil lein us mein saray masalay add kar dein or thora say bhoon lein

  8. 8

    Ab timatar shamil kar ke achi tarah bhoon lein ke timatar soft ho jaen ab hari mirchen bi shamil kar dein

  9. 9

    Ab allu bi shamil kar ke achi tarhan mix kar lein hari mirchen shamil kar dein

  10. 10

    Ab hara dhaniyan bi shamil kar ke mix karen lein mazaedar Allu karahi tayar hai

  11. 11

    Roti ya chawal ke sath serve karen

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Abiha Naqvi Naqvi
on

Similar Recipes