Chawlon ki kheer

Naila Asif
Naila Asif @cook_18328290

#PAKISTANKAMEETHA ...pakistan ke meethon mein ek name kheer ka bhi hai jo hamaray ghar aksar eid ke din banti ya kisi ki dawat karny par banti ..abb to farmayesh par banti hai..kheer main hamaish nido doodh ki banati hon sada si bht achi banti hai..

Chawlon ki kheer

#PAKISTANKAMEETHA ...pakistan ke meethon mein ek name kheer ka bhi hai jo hamaray ghar aksar eid ke din banti ya kisi ki dawat karny par banti ..abb to farmayesh par banti hai..kheer main hamaish nido doodh ki banati hon sada si bht achi banti hai..

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

After dinner
  1. 2, Litre
  2. 8, danay sabz elaechi
  3. 1, Glass chawel
  4. 2, Cup cheeni
  5. 200 gmbadam
  6. 100 gmkishmish
  7. 100 gmpista
  8. 200 gmcoconut graind kiya howa

Cooking Instructions

  1. 1

    Nido ka 2,Litre Doodh banany ke liy 5, glass pani main 80 kany ke chamach sookha doodh nido ka dal ke achi tarha mix kar lain.

  2. 2

    Abb doodh ko garam kar lain.

  3. 3

    Aur 1, glass chawel ko 4, glass pani dal ke halki aanch pe pakny dain ke chawel khoob naram ho jain.

  4. 4

    Chawel naram ho jain to uss mein doodh dal dain and sarh hi elaechi ke dany nikal kar dal ke pakatay jaytin and chamach chilati jayin.

  5. 5

    Jab kheer thori garhi hony lagy to uss main cheeni and badam pani main garam kar ke uss ke chilkay utar kadhay kheer main dal dain kishmish bhi dal dain and coconut and pista bhi adha adha dal dain.

  6. 6

    Yad rakhain kheer pakatay howay kheer ke pas karay ho ke pakain chamach chalati rahain ta ke kheer jalay nahi.

  7. 7

    Jab kheer achi tarha garhi ho jaye gi to kisi pan main nikal ke baqi ke mawon sy garnish kar ke serve karain. Serve meri sada si kheer😊

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Naila Asif
Naila Asif @cook_18328290
on

Comments

Similar Recipes