Bhagaray hoye Dahi baray

Hina Ibrahim
Hina Ibrahim @cook_16621862
in karachi

#happybirthdaycookpad #iamambassador #motivationalpost . Bhagaray dahi baray ik khas ehmiyat rakhti hai. jahan kuch log meethay dahi pasand karte hain wahan kuch ese log b mojood hain jo namkeen dahi baday ko meethay par foqiyat dete hain. isme shamil lehsan aur bhaghaar ki khusbu na sirf iski taraf mutawajja karti hai balke bhook barhane ka zariya b banti hai.Dekhne me b ye dish bht achi lagti hai aur kam se kam time par taiyyar ho jati hai.Ramzam ho ya aam din log isay bht shauq se apne gharon me banate hain .

Read more
Edit recipe
See report
Share

Ingredients

25 min
4_6 servings
  1. 1/2 kgdahi
  2. 1 packetbhallay
  3. 2 tsppoodenay ki chutney
  4. 1 tspbhuna zeera
  5. 1/3salt
  6. 1/2 tspchat masala
  7. 4_5 lehson ko koot lein
  8. 1/2 glassdoodh
  9. For bhagaar :
  10. 3_4 sabut mirch gol
  11. 1/2 tspzeera
  12. 3-4curry patta (jo is time mere pas mojood nai tha)
  13. 3-4 tbspoil

Cooking Instructions

25 min
  1. 1

    Tamam ingredients ik jaga kar lein.

  2. 2

    Bhalla's ko garampani me daal dein.

  3. 3

    Phir salt add kar ke cover karden.

  4. 4

    Dahi me doodh, green chutney, bhuna hoa zeera, lehson paste, chat masal aur salt add kar ke blend karlen.

  5. 5

    Bhalla's ka size double ho jaye aur wo andar tak soft ho jayen to isay pani se halke haath se nichorh ke alag kar lein.

  6. 6

    Ab dahi me isay shamil karden

  7. 7

    Ab bhagaar ke liye oil garamkaren usme zeera, gol mirch aur curry patta dal ke brown karen aur phir dahi badon ke upar dal dein.

  8. 8

    Mazedaar bhagaray hoye dahi baday ready hain.

  9. 9

    Enjoy !

Reactions

Edit recipe
See report
Share

Written by

Hina Ibrahim
Hina Ibrahim @cook_16621862
on
in karachi
First Chef Ambassador Karachi Pakistan 🍴
Read more

Similar Recipes