Masoor daal ki khichri

Sadaf Siddiqui
Sadaf Siddiqui @sadaf2009
Karachi

jab kuch smjh na aye k kia pakaya jaye mein jaldi se masoor daal aur chawal bhigo kar khichrri bana leti hain chutney achara aur paparr k sth bohe he jaldi aur mazey ki ban jati hai.

Masoor daal ki khichri

jab kuch smjh na aye k kia pakaya jaye mein jaldi se masoor daal aur chawal bhigo kar khichrri bana leti hain chutney achara aur paparr k sth bohe he jaldi aur mazey ki ban jati hai.

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. 2 cuprice
  2. 1 cupdaal masoor
  3. 1piyaz
  4. 2 tbsphari mirch paste
  5. 1chicken cube
  6. 1 tbspzeera
  7. namak & ghee as required
  8. 2 tbspbutter

Cooking Instructions

  1. 1

    Daal chawal 30 mint k liye bhigo lein

  2. 2

    Aik handi mein ghee garam kar k piyaz ko brown karein

  3. 3

    Halka sa pani daal kar mirch ka paste daalen

  4. 4

    10 se 15 sec fry karein

  5. 5

    Chicken cube aur aik glass pani dal kar cover kar dein

  6. 6

    10 mint bd daal chawal add karein

  7. 7

    Namak taste karein aur apney taste k hisab se namak shamil karein

  8. 8

    Jitni zaroort ho pani shamil kar dein

  9. 9

    Pani khushk hojaye dam par lganey se pehley us mein buttet add karein

  10. 10

    10 se 15 mint k liye dam par chorr dein

  11. 11

    Mazedar daal masoor khichrri ready hai.

  12. 12

    Chutney paparr achar k sth serve karein.

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Sadaf Siddiqui
Sadaf Siddiqui @sadaf2009
on
Karachi
I love Cooking & try different recipes.its my passion & i also show my talent as a chef on masala TV in (lively weekends), Sindh TV in (cooking with chef faisal) & Metro 1 in (morning with sabi).
Read more

Similar Recipes