Tawa kabab
#TAWACOOKING
aaj toh maza hi a gaya tawa kabab kha ke😋
Steps
- 1
Boneless chicken ke pieces kar lein piyaz ke bhi pieces kar lein hara daniya hari mirch kut lein badam pista pees lein
- 2
Boneless chicken piyaz hari mirch aur hara daniya ko machine main pees ke qeema bana lein
- 3
Ab pise huay qeeme main laal mirch powder, kute laal mirch, kuta daniya, garam masala, anardana powder, kali mirch powder, haldi, sonf powder, namak add kar lein
- 4
Lasan adrak paste, malae cornflour powder add kar lein
- 5
Anar (koila) ko chule pe rakh ke jala lein
- 6
Ab ache say mix kar ke jala hua anar (koila) masale ke beech main rakh ke anar pe oil dal ke dakan de dein
- 7
Jab anar (koila)ka dam lag jaye toh us main badam pista powder add kar ke mix kar ke 1 hour ke liye fridge main rakh dein
- 8
Tawe ko garam kar lein aur medium flame pe rakh dein
- 9
Bane huay masale ko kisi seekh main dal ke shape dein ab tawe pe thora oil add karen ab kabab ko tawa pe dal ke dakan de dein
- 10
2 mins baad dakan hata ke dusri side kabab ki roast kar ke phir say dakan de dein
- 11
Ab kabab ko nikal dein aur aise hi sab kabab roast kar lein
- 12
Jab sab kabab roast ho jaein toh thora sa oil tawe pe dal ke 2 cup chop tamatar 2 adad hari mirch kati hui aur namak dal ke dakan de dein
- 13
Jab tamatar gal jaein toh kafgeer say katakat kar ke paste ki shakal bana lein
- 14
Jab tamatar ki paste ban jaye toh us ke upar roast kiye huay kabab rakh ke dakan de dein 3 mins ke liye 3 mins baad kabab ki side change kar ke phir say 3 mins ke liye dakan de dein
- 15
Ab raita aur chawalon ke sath tawa kabab serve karen garma garam tawa kabab tayar hain
- 16
Main nay kuch kabab tamatar paste ke bina hi rakhe hain ab apki marzi hy ap tamatar paste wale khana pasand karen gaye yan roast hi
Similar Recipes
More Recipes
-

Hema Wane
-

Pragati Hakim
-

Cafeishq
-

ifuchi
-

Suge Works
-

skunkmonkey101
-

kairynel
-

Cornbread with Honey Whipped Butter
Air Fry with Me
-

Hamburger Steaks with Mushroom and Onion Gravy
Cookin' Conni
-

Food Food
-

Deekhsa Ahuja
-

khayrees Tasty bites
-

Uzma Latif
-

Raduma Jamse (0716271944)
-

Soni S
-

Soni S
-

Niraj
-

Syeda Noor
-

Tina matta

















































Comments (65)