Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. Ingredients :
  2. 2 cupsMaida
  3. Halfcup Ghee
  4. Halfcup (pissi hoe) cheeni
  5. 1 tea spoonBaking powder
  6. 1adad Andy ki zardy

Cooking Instructions

  1. 1

    Ek bowl me ghee or cheeni ko itna phenten ke wo creami shakl me a jaey.

  2. 2

    Phr maidy me baking powder dal ke 1,2 dafa chalni sy achi trha chan lein tak baking powder maidy me achi trha mix ho jaey.

  3. 3

    Phr maidy ko ghee or cheeni ke mixture me dal ke gondh lein achi trha 5 sy 10 mint gondhlen.

  4. 4

    Phr ek bara patela ly ke cholhy pe rkhen us me stand (jo amoman garam pateli ke nechy rkha jata hy) rakh ke dhakan dhak dein or tez anch par pre heat krlen.

  5. 5

    Phr bari pateli sy chota dhakan lein jo ap bary pately me aram sy rakh or nikal saken or apka hath na jaly.

  6. 6

    Phr dhakan par oil lagake grees krlen phr mixture ke gol pairy bana lein (jis size ke ap bnana chahen) phr usko halky hath sy press karein or dhakan pe thoray thoray fasly sy rkhty jaen.

  7. 7

    Jitny easily a jaen utny hi rkhen phr brush/finger sy us ke uper centr me zardi phent ke lagadein.

  8. 8

    Phr Dhakan ko pateli ke andar rkhy hoey stand par centr me rakh dein or dhakan dhak kar anch bilkul dheemi krden.

  9. 9

    Phr pately ke uper weight rakh dein.

  10. 10

    Phr 40 sy 45 mint bd khol ke check krlen uper ki zardi golden ho jaey to nikal lein.

  11. 11

    Agr na hoey hon to 5 sy 10 mint or rakh dein uper ki topping golden ho jaey to nikal lein.

  12. 12

    Hawa me rakh ke thanda karein or serve karein.

  13. 13

    Lejiy mazedar naan khatae tayar hy.

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Sidra Hasan
Sidra Hasan @cook_21875978
on

Similar Recipes