Street style Shakar qandi chat. Sweet potato chat

Rehana Wasim
Rehana Wasim @Rehanas_kitchen
Dha Phase4 Katachi Pakistan

Thely wali shakar qandi ghar mein bohat asani se ban jati hay. Mein tawa pe banati hun,taste bilkul thely jesa hota hay, karahi, ya fry pan bhi use kar sakhte hain. Boiled pasand nahi. Bake bhi kar sakhte hay.

Sweet potato /shakar qandi ka mousam autumn se start ho jata hay, Allah hamhe har mousam mein beshbahar naimaton se nawazta hay jis mein is season ke mutabiq fawaid hote hain. Sardion ki sham garam garam shakar qandi ka maza hi aur hay.
#ambassador
#seasonal

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

30_40 mins
4_6 servings
  1. 6shakar qandi /sweet potatoes. Take thick size
  2. For Masala to sprinkle
  3. 1/2 tspsalt
  4. 1 tspred chilli powder
  5. 1 tspchat masala
  6. 1/4 tspKala namak

Cooking Instructions

30_40 mins
  1. 1

    Sakarqandion ko dho lein aur tawa pe rakhen aur flame on kar dein high for 3mins.

  2. 2

    Cover kar dein, phir flame low kar dein. Check karen 20 mins bad, turn karen aur dubara dhak ke cook karen low heat pe.

  3. 3

    Yeh jald gal jati hain 30 mins mein magar kabhi der mein galti hain to zaida der dum pe cook karen zarorat ho to pani sprinkle kar dein aur cover kar ke rakh dein jab tak ke fully soft ho jae.

  4. 4

    Plate mein nikal ke chilka utare knife se aur cut karen. Khatti meethi Chutney aur chat masala ke sath pesh karen.

  5. 5

    Chat masala for shakar qandi :
    Kala namak, lal mirch powder, chat masala aur plain salt ko achi tarha mix karen.

  6. 6

    Moti /thick wali shakar qandi lein is mein resha nahi hota ya kam hota hay. Try karen aur mousam enjoy karen.

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Rehana Wasim
Rehana Wasim @Rehanas_kitchen
on
Dha Phase4 Katachi Pakistan

Similar Recipes