Chicken yakhni pulao 🍚

Aneela Malik
Aneela Malik @AM_2029kitchen

#Salgirahmubarak sab ki favourite all time favourite is pulao and biryani Mubarak tu cookpad complete 2 years Mein Sha Allah

Chicken yakhni pulao 🍚

#Salgirahmubarak sab ki favourite all time favourite is pulao and biryani Mubarak tu cookpad complete 2 years Mein Sha Allah

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

1:30 hour
5-6 servings
  1. 4 cuprice
  2. 750 gchicken 🐔
  3. 8 cloveslehsan 🧄
  4. 1 inchpiece adrak
  5. 1pyaz 🧅
  6. 1 tbssaunf
  7. 1/2 tbszeera
  8. 1 tbssabut dhania
  9. 3-4Hari elaichi
  10. 3darchini
  11. 4-5laung
  12. 3Bari ealichi
  13. 1/2 tbssalt or to taste
  14. 1/2 tspsabut Kali Mirch
  15. 1 & 1/2 litre water
  16. 1/2 cupoil
  17. 2sliced pyaz
  18. 2darchini
  19. 3Hari ealichi
  20. 1Bari elaichi
  21. 1/2 tspsabut Kali Mirch
  22. 1/2 tbszeera
  23. 4laung
  24. 1tomato
  25. 1 & 1/2 tbs ginger garlic paste
  26. 1/3whisked Dahi
  27. 1 tspLal Mirch powder
  28. 1/2 tspKali Mirch powder
  29. 2 tbshara dhania
  30. 3Green chilli
  31. 6 cupsreserved stock
  32. 1/2 tspsalt or to taste
  33. 1/2 tspyellow colour

Cooking Instructions

1:30 hour
  1. 1

    Chawlon ko achi tarhan saaf Kar ka dho lain aur ak bowl main bhigo dain 30 min ka Lia

  2. 2

    Ab karahi main chicken, lehsan, adrak, pyaz, saunf, zeera, sabut dhania, Hari elaichi, dar chini, laung, badi elaichi, namak,sabut Kali Mirch aur Pani dal ka yakhni nikal lain.

  3. 3

    Jab chicken gal jaye tu isa nikal lain aur yakhni ko strain Kar lain aur bad main use ka Lia rakh lain.

  4. 4

    Pot main cooking oil dal kar pyaz dal ka fry Karin aur golden huna Tak pakayain.

  5. 5

    Adrak lehsan paste dal ka achi tarhan mix Karin aur darchini, Hari elaichi, badi elaichi, sabut Kali Mirch, zeera aur laung dal kar achi tarhan mix Kar lain.

  6. 6

    Ab tamatar dal kar bhonain.Ab chicken dal kar achi tarhan mix Karin aur pakain aur Dahi shamil Kar Ka bhon lain. Aur Green chilli shamil Karin.

  7. 7

    Lal Mirch aur Kali Mirch dal kar achi tarhan paka lain jab Tak oil alag na hu jaye.

  8. 8

    Reserved yakhni aur namak dal kar achi tarahn mix Karin aur ubal ana dain. Ab soaked chawal dal kar mix Karin aur darmiyani anch pa pakna dain taka ka Pani hatam hu jaye.

  9. 9

    Ab hara dhania aur yellow colour dal kar dam par rakh dain 20 min ka Lia

  10. 10

    20 min bad dum khol dain aur chawlon ko mix Kar lain.

  11. 11

    Salad aur raita ka sath paish Karin aur maZA uthain

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Aneela Malik
Aneela Malik @AM_2029kitchen
on

Similar Recipes