Fried Fish...❤️

#wokcooking
Mery Baba Jani ko Fried Fish bohat pasand hai, or Meri ye koshish hoti hai ke unki pasand ki cheez ko main achy sy acha banaun taky wo khush ho jaen, or isi koshish main main aksar nay nay tajurby karti rehti hun😊 kafi tajurby kamiyaab bhi huwy Hain Jin main Sy ek ye fried fish 💞 Baba Jani kehty Hain Jo maza Ghar ke simple masalon main hai wo bazari masalon main nahi hai, isi liye khalis Ghar ke masalon sy bani ye fried fish ki recipe apsy share Kar rahi hun AP bhi try Karen or duaon main yaad rakhen shukriya...🌹🌹🌹

Steps
- 1
Sub sy pehly machli ko ek parant main nikalen or us par 5 tbsp ajwain ko achy sy machli par Charon taraf laga dein or isy 1 ghanty ke liye chor dein
- 2
Ab machli ko achy sy dho lein, ajwain lagany sy machli ki smell khatam ho jati hai
- 3
Ab ek bowl main besan shamil Karen or is main adrak lehsun ka paste, lemon juice, soy sauce or baqi tamam masaly shamil Karen, Meri machli ko pehly sy namak laga huwa tha is liye main ny half tsp namak dala hai ap apny taste ke hisab sy Kam ziyada Kar sakti hain
- 4
Ab in sub ko mix Kar ke acha sa paste bana lein or agar zaroorat ho to Thora sa Pani dal lein
- 5
Ab is paste ko machli ke pieces par Charon taraf achy sy lagaen or isy taqreeban 3 ghanty ke liye chor dein
- 6
Ab karahi main oil garam Kar ke anch normal Kar dein or normal anch par machli ko fry Karen dono taraf sy taqreeban 6 mint lagen gy or anch ka khayal karna hai taky machli andar Tak Pak Jay or Bahar sy jaly bhi nahi, is step ki main pic nahi ly Pai ke phone ko jalty huwy chulhy ke qareeb karny sy mujhy dar lagta hai
- 7
Bohat mazedaar juicy fried fish tayar hai isy apni pasand ki chutney ya ketchup ke sath Serve Karen or enjoy Karen Shukriya...🌹🌹🌹
Similar Recipes
More Recipes
-

Laju Gehani
-

Seema Sharma
-

Sudipa Gope
-

Hetal Poonjani
-

Ifeoma Obianagha
-

Muniswari.G
-

Amrita Chakroborty
-

Nargis shaikh Shaukat
-

Vilde!:)
-

Mridula Srivastava
-

Homemade Flatbread Pizza Crust
Christina
-

Kristen Pond
-

Jenny Lynn
-

Shiko Mpishi
-

ferdinando esposito
-

Rima Dutta
-

Sonal Modi
-

Bella Chanzu
-

Nelly muthoni Chef Nellia
-

Safiya khan
-

Jyoti Kukreja
-

Mimi's Cake and Snacks
-

Rekha Bapodra

Comments (11)