Mutton Yakhni Pulao.  With dehi and Tea

Naila Asif
Naila Asif @cook_18328290

#PAKNIG
#MENTORSHIP
Jaisa main pehlay bhi bata chuki hon.ke hum panjabi families main iftari ke baad khana nahi khaty seedha sehri main khaty hain.roti salan ya paratha salan, ya koi bhi chawel jasay mutton pulao etc. Sehri main sath main hum khany ke sath dehi bhi zaror letay hain and mujh jaisay chaye peeny waly chaye bhi zaror letay hain.😊

Mutton Yakhni Pulao.  With dehi and Tea

#PAKNIG
#MENTORSHIP
Jaisa main pehlay bhi bata chuki hon.ke hum panjabi families main iftari ke baad khana nahi khaty seedha sehri main khaty hain.roti salan ya paratha salan, ya koi bhi chawel jasay mutton pulao etc. Sehri main sath main hum khany ke sath dehi bhi zaror letay hain and mujh jaisay chaye peeny waly chaye bhi zaror letay hain.😊

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

Sehri time
  1. 1, Killo fresh mutton
  2. 1, Killo chawel
  3. 1, Tbsp zeera
  4. 4, Piyaz
  5. 1, Tukra adrak
  6. 2, pothi lehsan
  7. 4, Tamater
  8. 10, Hari mirch
  9. 1, Tbsp sabit garam masala mix
  10. 1,1/2, Tbsp namak
  11. 4, Cup oil

Cooking Instructions

  1. 1

    2 addad piyaz adark lysun sabit hi dal dain,2, tamator namak aur 5 addad hari mirch dal kar nsabit sookha dhaniya ghosht ko boil kar lain.
    ab gosht ko nikal kar oil main fry karlain

  2. 2

    Abb gosht ko nikal ka oil garam kar ke gosht fry kar lain.

  3. 3

    Aur yakhni ko chan ke rakh lain.

  4. 4

    Abb issi oil main 2, piyaz light brown kar ke,2, tamater,5,harch 1, tbsp namak garam masala zeera dal ke masala bhon lain.

  5. 5

    Masala bhon ke gosht dal ke bhi thora bhon lain.

  6. 6

    Abb 1,Killo chawel ke agar 3, glass bantay hain to 5, glass yakhni gosht main dal ke boil aanay dain.

  7. 7

    Jab boil a jaye to chawel dal dain.darmiyani aanch par 10.mint tak paknay dain.

  8. 8

    10 mint baad dekhain paini sookh geya hai to halki aanch par chawelon ko 25 sy 30 mint tak dam dy dain.

  9. 9

    Serve,sehri main khana khany ke baad dehi zaror lain iss sy seenay main jalan nahi ho gi.and meray jaisay chaye peetain hain ke sar main dard na ho 😜😊👍😋

Edit recipe
See report
Share

Cooksnaps

Did you make this recipe? Share a picture of your creation!

Grey hand-drawn cartoon of a camera and a frying pan with stars rising from the pan
Cook Today
Naila Asif
Naila Asif @cook_18328290
on

Comments (9)

Similar Recipes