Cooking Instructions
- 1
Sub sy pahly rice ko 2 hours ke liye soak kar ke rakh dein
- 2
Phir aik bary pan main pani dal kar boil any dein
- 3
Jub boil a jaey to rice wash kar k pani main dal kar cook karein
- 4
75 sy 80% cook hony tak
- 5
Ap aik pani drain kar ke thanda pani dal kar thora spoon sy rice ko phila dein tak rice APus main jurain nahi khuly khuly rahin
- 6
Phir usi pan main ghee dal kar green Elaichi dal kar garam karein
- 7
Phir milk or sugar dal kar cook karein
- 8
Medium flam per 5 mint cook karein spoon chalaty huey
- 9
Jub sugar desolve ho jaey or half mik reduce ho jaey to rice add kar lein
- 10
Rice mix kar ke cover kar ke low flam per 10 sy 15 mint tak cook karein
- 11
10 mint ke baad bht carefully pan ka dhakan hataein steam sy apny hands face ko bachaty huey
- 12
10 mint ke baad milk kafi soak kar lia ho ga rice ny
- 13
Ab thora high flam per rice ko bht ahtayat sy chalty Huey 2 mint or cook karein
- 14
Ab 3 food colours main 1 by 1 1 tbsp milk dal kar mix kar dein
- 15
Phir rice per pahly ashrafiyan sprinkle kar dein almond ko bhi garam pani main dal kar skin remove kar ke dal dein
- 16
Phir one by one 3 clour sprinkle kar dein
- 17
Phir cover kar ke 5 mint low flam per cook karein
- 18
Phir dish out kar ke sweet dish ke tor per lunch ya diner main serve karein
- 19
Note : aik tip agar kisi waja sy ap ke rice soft nahi hoty thory hard ho jaey to half cup milk add kar ke low flam per cover ke ke dobara cook karein to ap ka matanjan prefect ho jaey ga
Similar Recipes
-
Gujarati Jalebi Gujarati Jalebi
Today, I made jalebi in the Gujarati style. They turned out crispy and delicious. Rafiqua ShamaTranslated from Cookpad India -
-
-
-
-
Shahi tukda Shahi tukda
This recipe is very delicious in taste. The combination of bread with rabdi is awesome. #Eidkimeethas Faiza Asif -
-
Rava kesari || Semolina sweets Rava kesari || Semolina sweets
Semolina sweets 😋 #mycookbook JustFood -
-
-
More Recipes
Comments (2)