Garma garam tahri😋

Aaj main nay tahri phopo ki farmaish pe banae ek toh mosam itna acha tha barish ho rahi thi aur phir garma garam tahri sab nay kha k dua di🙈 yeh recipe dekh k ap k muh main pani aaya hoga😜
Garma garam tahri😋
Aaj main nay tahri phopo ki farmaish pe banae ek toh mosam itna acha tha barish ho rahi thi aur phir garma garam tahri sab nay kha k dua di🙈 yeh recipe dekh k ap k muh main pani aaya hoga😜
Steps
- 1
Lobia ko boil kar lein allu cut kar lein tamatar k chilke utar k cubes ki tarhan cut dein piyaz bareek cut lein
- 2
Phele oil main taizpat aur yeh sabit garam masala dal dein thori dair baad piyaz dal dein jab piyaz halki brown ho jaye toh us main lasan adrak dal dein
- 3
Ab piyaz main mirch haldi garam masala sabit kuta daniya namak dal dein Piyaz ko dark brown nahi karna piyaz halki brown ho phir tamatar bhi dal dein aur thori dair pakne dein jab tamatar gal jaein toh us main lobia allu dal k half cup pani dal k dak dein
- 4
Allu jab halke say gal jaein toh us main 10 glass pani aur half cup surka dal dein ab ap namak zaroor check kijiye ga agar thora es ka pani halka namken lage toh phir sahi hy aur anch ab taiz kar dein
- 5
Chawal ko phele say hi bhigo k rakh dein jab yeh pani ubalne lage toh es main chawal dal dein par khayal rahe k chawal daghchi ki teh main na chipkein es liye chawal dalne k baad chamach waqfe waqfe say chalate rahein
- 6
Jab pani khushk ho jaye toh tamatar pudina hari mirch lemon fry piyaz dal k 30 mins k liye dam pe rakh dein
- 7
Ab garma garam tahri achar aur dahi k sath khaein aur mujhy bataein kesi lagi yeh recipe 🙈
Similar Recipes
More Recipes
-

Shobha Rathod
-

BB&Bz chef
-

mary jane
-

Durreshahwar Khan
-

Nana Aliyu
-

Madhumita Bishnu
-

Shivani gori
-

Prachi Phadke Puranik
-

Uzma Syed
-

icancervive10
-

🌈NinjaMommaKitchen🌈
-

cdcdcd -

Jeffrey James Reyes
-

Niha Ch👩🍳
-

Rinku Choudhary
-

Asinan Betawi (Indonesian Salad from Jakarta)
dapurmpoknobi
-

Ritika Garg Bansal
-

Ubaid Abdullah Azan
-

Chick pea and banana pancakes with peanut butter spread
Aysha Koteshwar
-

Arachana ( Tanya)
-

Abha Agam Singh
-

Tina Chakraborty let's Cook
-

Sanjita Kour















Comments (6)