Dal ke Fhare

jaya tripathi
jaya tripathi @cook_9105596
Kalyan

#diwalidelight.. ye north india ki tradition dish hy. Meri grandmother banati thi. Ab mummy banati hy aur aaj mene aap logo ke liye banaya hy. Mene is dish mey upar se tadka daala aap chahe to fry bhi kar sakte hy.

Dal ke Fhare

#diwalidelight.. ye north india ki tradition dish hy. Meri grandmother banati thi. Ab mummy banati hy aur aaj mene aap logo ke liye banaya hy. Mene is dish mey upar se tadka daala aap chahe to fry bhi kar sakte hy.

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. 1 cupchana dal + 1/2 cup urad dal ko 2-3 hour bhigo ke rakhe
  2. 1 teaspoondhaniya powder
  3. 1 teaspoongaram masala
  4. 1 teaspoonjeera
  5. 6-7pice garlic
  6. 4-5green chilli
  7. To tastesalt
  8. 1 cupatta
  9. 1small pice ginger
  10. Pinchhing
  11. For tadka
  12. 1 teaspoonjeera
  13. 1 teaspoonraai
  14. Pich of hing
  15. 6-7curry leave
  16. 1 tablespoonoil

Cooking Instructions

  1. 1

    Dal ko mixi mey pise aur saat mey jeera, ginger, garlic, green chilli bhi daal kar pise but is mey paani na daale.

  2. 2

    Ab is mixer ko ek bowl mey nikale. Isme dhaniya powder, garam masala powder, to taste salt daale aur mix karein.

  3. 3

    Atte ko ek bowl mey nikale ab paani daal kar soft guthe.

  4. 4

    Ab atte ki choti choti puri banaye.

  5. 5

    Ek bade kadhi mey 2-3 glass paani, thoda salt aur pinch of hing daale aur boil hone de.

  6. 6

    Ab atte ki puri ko le aur isme 1 teaspoon dal ki staffing dale aur fold karein.

  7. 7

    Isi tarah se sabhi fhare bana le.

  8. 8

    Ab boil paani mey ek ek karke fhare daale. Aur 1/2 tablespoon oil bhi daale thaki ye apas mey na chipke.

  9. 9

    Ab dhak kar 10min pakaye.

  10. 10

    Ab ready fhare ko plate mey ya bowl mey nikale.

  11. 11

    Ab ek pan mey 1spoon oil garam karein usme jeera, raai, curry leave daale aur hing ka tadka tayar karein.

  12. 12

    Ab tadke ko fhare ke upar daale aur green coriander se garnished karein.

  13. 13

    Garma garam fhare ko coconut chutney ke saat sarve karein.

Edit recipe
See report
Share

Cooksnaps

Did you make this recipe? Share a picture of your creation!

Grey hand-drawn cartoon of a camera and a frying pan with stars rising from the pan
Cook Today
jaya tripathi
jaya tripathi @cook_9105596
on
Kalyan

Comments

Similar Recipes