Panjiri with sugar & sugar free

Afshan Tabassum
Afshan Tabassum @cook_18391269

Winter special main ajj ki special recipe share kar rahi hon panjiri, panjiri healthy recipe hai Jo khastor par new mom's k liye banai jati hai lekin ye bachon aur baron sub hi k liye faidemand hai sardi k muasam main banain aur enjoy krein main ye sugar ke sath aur sugar free bhi banai hai jis ko sugar patient bhi kha sakte hain,
#MausamkiSaugaat

Panjiri with sugar & sugar free

Winter special main ajj ki special recipe share kar rahi hon panjiri, panjiri healthy recipe hai Jo khastor par new mom's k liye banai jati hai lekin ye bachon aur baron sub hi k liye faidemand hai sardi k muasam main banain aur enjoy krein main ye sugar ke sath aur sugar free bhi banai hai jis ko sugar patient bhi kha sakte hain,
#MausamkiSaugaat

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

30 min
  1. 500 gsemolina
  2. 1 cuppowder sugar
  3. 1 cuppure ghee
  4. 1 cupalmond
  5. 1 cuppistachio
  6. 1 cupcashew nuts
  7. 1 cupwalnuts
  8. 1 cupraisins
  9. 1 cupdesiccated coconut
  10. 4 tbsp4 seeds, char magaz
  11. 1 tbspwhite cardamom powder
  12. 2 cupFox nut, phool makhane
  13. 1 cuptragacanth gum, gond katira

Cooking Instructions

30 min
  1. 1

    Walnuts, almond, cashew nuts ko dry roast krein gy us waqt tak jab tak k achi so khushbo nahi aane lag jati

  2. 2

    Jab khushbo and Lage to pistachio, coconut add krein aur 2 min aur dry roast krein khayal rahe ke jale nahi

  3. 3

    Nuts dry roast ho jain to in ko alag Nikal kar Rakh dein

  4. 4

    Karahi main 2 tbsp asli ghee dal kar gond katira fry krein gond fry ho kar phool kar crispy ho jaye gi is ko bhi nekal kar alag kar lein

  5. 5

    Ab sooji ko 10 min tak dry roast krein achi SI khushbo and Lage aur Halka se color change hone Lage to 4 tbsp ghee dalein aur bhone jab sooji ka color brown hone Lage to sooji ko kesi bowl main Nikal lein

  6. 6

    Ab karahi main 2 tbsp ghee dalein phir phool makhane fry krein slow flame par

  7. 7

    Makhane ache sy roast ho jaye air crispy ho jain to nekal kar alag kar dein

  8. 8

    1 tbsp ghee farm krein us main kishmish fry krein jab kishmish phool jaye to us ko bhi Nikal kar bhindi hoe sooji main dal dein

  9. 9

    Ab 4 magaz ko dry roast kar k sooji main hi dal dein

  10. 10

    Ab gond katira aur phool makhane ko dardara se press lein

  11. 11

    Bilkul barek nahi krna hai Ab is Ko ek bare bowl main dal dein Ab Jo nuts roast kar k rakhe thay us main sy half nuts ko dardara peas lein

  12. 12

    Half nuts sabat hi rakhna hain Ab Jo nuts dardare sy pesay to in ko bhi phool makhane aur gond main mix kar dein

  13. 13

    Sath hi sooji, kishmish, 4 magaz ko bi in sub main mix kar dein, safeed Elaichi ka powder dalein, sabit nuts bhi dal dein,

  14. 14

    Ache sy mix krein agar ap ko sugar free banana hai to is mixture ko do jaga kar lein half half kar lein

  15. 15

    Ab half main ek cup powder sugar dal kar ache sy mix kar lein agar sugar free nahi banani hai to 2 cup powder sugar add krein pore mixture main,

  16. 16

    Mazedar si sugar free aur with sugar panjiri ready hai,

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Afshan Tabassum
Afshan Tabassum @cook_18391269
on

Similar Recipes