Chicken Cheese Stick

Tried some different recipe that is different from local foods favorite and loveable among children's foreign dish love it #joy
Chicken Cheese Stick
Tried some different recipe that is different from local foods favorite and loveable among children's foreign dish love it #joy
Steps
- 1
Sab sa pahla proofing Karni hai 2 teaspoon yeast 2 teaspoon maida aur 2 teaspoon cheeni aur 1/4 cup lukewarm water dal ka mix Kar ka cover Kar ka ksi garamjaga pa rakh dain aur 20 min bad check Karin aur bubbles ban gaya Hun tu Matlab yeast bilkul sai hai is process sa ap ki yeast ka pata lagta hai.
- 2
Ab 2 cup maida ak anda aur 1/4 namak ak bowl main dalna hai aur proofing wala material is bowl main dal ka atta ghondh Lana hai.
- 3
Halka gram Pani ka sath ghondhna hai aur jitni zyada achi tarhan atta ghondhan ga utni soft dough bana gai sath oil lagata Jain dough achi ghondha gai aur phir cover Kar ka Kisi garam jaga pa rakh dain aur 4 ghanta bad check Karin dough double hu gai hu gai.
- 4
Ab sabzian Kat lan pyaz cubes main Kat lain aur Shimla Mirch aur tamatar sliced Kar lain ya step optional agar ap ko veggies nai passand tu ya step skip Kar dain.
- 5
Ab ak pan main 1 tbs oil dal ka lehsan dal ka fry Karan aur phir chicken aur Baki masala dal ka fry Karin.
- 6
Ab maida ki roti bana lain roti zyada moti nai banani kyun ka is na double hu ka zyada Moti hu jana hai is Lia patli roti banani hai.
- 7
Ab pahla roti pa fork sa marna hai taka us ka andar Hawa na bana ab roti ki ak side pa ketchup lagain pahla phir chicken ki feeling phir veggies us ka upar mayo phir cheddar aur mozzarella cheese dal dain aur Isa cover Kar dain.
- 8
Is roti ki side pa Pani laga ka Isa achi tarhan band Karin aur Isa band Karna ka bad upar bhi fork sa marna hai taka Hawa na bana brush sa halka oil lagana hai aur upar cheese dal Dani hai aur thori si oregano aur chilli flakes sprinkle Karna han aur Jo marzi laga lain
- 9
Oven ko 190 degree pa 20 min ka Lia preheat Karna hai us ka bad 20 min ka Lia pakana hai agar. Jab oven sa bahir Aya bread tu foran butter ya oil laga Dana hai bread ko warna hard hu jaye gai.
Similar Recipes
More Recipes
-

Kotsume
-

Shobha Deshmukh
-

Nutan Shah
-

Bina Anjaria
-

Ameya Bhat
-

Ameya Bhat
-

Arezu
-

Suchitra S(Radhika S)
-

Chamchamiya (Pearl Millet Cheela)
Deepa Rupani
-

Ross -

betsy.hudson -

Robert Gonzal
-

Ju Kmtk
-

Barnali Samanta Khusi
-

Tri-colour Chicken Walnut Momos
Sudeshna Rajib Das
-

Roshani Kodwani
-

Archana Devi ( Chaurasia)
-

sapeena's cuisine
-

Dr Asma Ali
-

Debamita Chatterjee
-

Sadaf Salman
-

Maria Shujaat
-

Rabia Faraz
















Comments