Dahi Bhala Chat Pati Chat |Street Jaisi|😋😋😋😋

Bint-e-Hawa
Bint-e-Hawa @cook_22147413
Pakistan🇵🇰

Is recipe ko Zaroor try bilkul Street wali chat ka taste aaye ga.lockdown may aaesi cheezye khanye ka bhut Dil krta hy isiliye khud apnye Haatho sy banaye.Ye Chat Ifari ke Dastarkhan ki Zeenat hoti hy.So must try this.sooo quick and easy recipe.yummmmmmy.😋😘😋😘😋

Dahi Bhala Chat Pati Chat |Street Jaisi|😋😋😋😋

Is recipe ko Zaroor try bilkul Street wali chat ka taste aaye ga.lockdown may aaesi cheezye khanye ka bhut Dil krta hy isiliye khud apnye Haatho sy banaye.Ye Chat Ifari ke Dastarkhan ki Zeenat hoti hy.So must try this.sooo quick and easy recipe.yummmmmmy.😋😘😋😘😋

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

  1. Green chutney:
  2. 250gram:Dahi
  3. 1cup:Dhaniya
  4. 1cup:Podina
  5. 1/2:Hari Mirch
  6. 1pinch:Namak
  7. 1tes:Kala Namak
  8. 1/2cup:Imli ka Pani+Pulp
  9. Imli ki khatti meethi chutney:
  10. 250gram:Imli ka Pani+Pulp
  11. 1tes:Lal mirch powder
  12. 1tes:Cutter mirch
  13. 1tes:Zeera powder
  14. 1tes:Namak
  15. 2tbs:Corn Flour Pani may Hal kar ly
  16. 2tbs:Cheeni
  17. Bhalay:
  18. 1.5cup:Baisan
  19. 1tes:Lal mirch powder
  20. 1tes: Namak
  21. 1tes:Cutter mirch
  22. 1tes:Meetha Soda
  23. Garnishing:
  24. Pyaz lachay wali katyi hui
  25. Tamatar cubes may katye huye
  26. Boil Aloo cubes may katye huye
  27. Papri
  28. Boil white Channye
  29. Namkeen Dahi Namak dal kar beat kar ly

Cooking Instructions

  1. 1

    Tamam ingredients ek saath blend kar ly. Green chutney tayar hy.

  2. 2

    Imli ke Pulp may Cheeni aur tamam spices dal kar cook kar ly jab josh aanye lagye to is May 1tbs pani dal kar aur cook krye saath hi is Pani may hal kra hua Corn Flour bhi shamil kar ke Chamcha chalti rhye. Jab chutney thick hojaye to Flame 🔥off kar dain. Imli ki khatti meethi chutney tayar hy.

  3. 3

    Baisan may tamam ingredients mix kar ke itna pani dal kar zyada patla bhi na ho aur zyada thick bhi na ho normal consistency ho.

  4. 4

    Ab Fry pan oil garam karye aur Kisi barye mun walye Spoon sy Bettar ko pan may dal kar fry krti jaye.

  5. 5

    Bhalo ko Fry kar kar ke Thande pani may 30sec ke liye rakh kar phir inhe Haatho sy press kar ke extra pani nikal kar Serving Bowl may Dalti jaye.

  6. 6

    Ek Bowl May Bhalo ko nikal Spoon sy halka tor lain.Ab is May Boil Aloo+Boil Channye+Tamatar+Pyaz+Green Chutney+Imli ki Chutney+Namkeen Dahi+Papri+Chat Masala+Green Chutney+Imli ki Chutney dal kar Serve krye.

Edit recipe
See report
Share

Cooksnaps

Did you make this recipe? Share a picture of your creation!

Grey hand-drawn cartoon of a camera and a frying pan with stars rising from the pan
Cook Today
Bint-e-Hawa
Bint-e-Hawa @cook_22147413
on
Pakistan🇵🇰
Homemade Cooking 🥘 🍳is the Best 👌🥰👌
Read more

Comments

Similar Recipes