Beef Yakhni Pulao❤️

Rose Mughal
Rose Mughal @r181

#Muharram Special
Muharram py yakhni pulao to banta hi hai, or yakhni pulao ki be'shumaar qismen hoti hain, har ghar main har tabwy k log apny tariqy sy yakhni pulao banaty hain or sub ka tariqa mukhtalif hota hai, or aisi hi mukhtalif, simple or delicious yakhni pulao ki recipe main ap logon k liye lein kar hazir huwi hun jis ka taste to alla hai hi par khushbu bhi lajawab hai, umeed hai ap log pasand karen gy

Edit recipe
See report
Share
Share

Ingredients

1 hr 30 mins
4 to 5 peoples
  1. Yakhni k ajza
  2. 750 gmbeef mix boti
  3. 1onion slices
  4. 7-8kaliyan lehsun
  5. 1 inchka adrak ka tukra
  6. 1badyan ka phool
  7. 8laung
  8. 1 tspsabit kali mirch
  9. 1 tspzeera
  10. 1 tspsonf
  11. 1 tspsabit dhaniya
  12. 1bari Elaichi
  13. 1 tspnamak
  14. 4 glasspani
  15. Pulao k ajza
  16. 2 glasschawal 30 mint bhigo dein
  17. 1.5 tspadrak lehsan ka paste
  18. 1 cupdahi
  19. 1 tsppaisa huwa garam masala
  20. 1 tsphari mirch ka paste
  21. 1 tspzeera
  22. 1lemon juice
  23. 1gathi podina
  24. 1 cupoil
  25. 1 tspnamak ya apny taste k mutabiq

Cooking Instructions

1 hr 30 mins
  1. 1

    Pressure cooker main beef, pani or yakhni k tamam ajza dalen or isy 15 sy 18 mint ka wait laga lein

  2. 2

    Beef gal jany oar botiyan or yakhni alag kar lein

  3. 3

    Ab oil garam karen or is main adrakh lehsan ka paste shamil karen halka saute hony oar beef shamil karen or itna bhoonen k color chang ho jay

  4. 4

    Ab is main dahi, garam masala, hari mirch ka paste, zeera or namak shamil kar k achi si bhunai karen

  5. 5

    Masala achy sy bhun jay to is main yakhni shamil karen or isy josh any tak pakaen

  6. 6

    Jab pani main josh a jay to is main chawal or lemon ka juice shamil karen or pani khushk hony tak lez anch py pakaen

  7. 7

    Pani khushk ho jay to podina dal kar chawal ko bilkul halki anch par 15 mint ka dam laga lein

Edit recipe
See report
Share
Cook Today
Rose Mughal
on

Similar Recipes